Prakhar / Najlacnejšie knihy
Prakhar

Kód: 52266688

Prakhar

Autor Siddhant Tiwari

"Prakhar" lekhak ke liye keval kavitaon ka sangrah nahi hai, balki uske hi antarman mein chal rahe us nirantar yuddh ki abhivyakti hai, jise har manushya apne jeevan mein kisi na kisi roop mein anubhav karta hai. Yeh kriti un ksha ... celý popis

19.76 €

Bežne: 20.20 €

Ušetríte 0.44 €


Skladom u dodávateľa
Odosielame za 9 - 13 dní
Pridať medzi želanie

Mohlo by sa vám tiež páčiť

Darčekový poukaz: Radosť zaručená
  1. Darujte poukaz v ľubovoľnej hodnote, a my sa postaráme o zvyšok.
  2. Poukaz sa vzťahuje na všetky produkty v našej ponuke.
  3. Elektronický poukaz si vytlačíte z e-mailu a môžete ho ihneď darovať.
  4. Platnosť poukazu je 12 mesiacov od dátumu vystavenia.

Objednať darčekový poukazViac informácií

Viac informácií o knihe Prakhar

Nákupom získate 48 bodov

Anotácia knihy

"Prakhar" lekhak ke liye keval kavitaon ka sangrah nahi hai, balki uske hi antarman mein chal rahe us nirantar yuddh ki abhivyakti hai, jise har manushya apne jeevan mein kisi na kisi roop mein anubhav karta hai. Yeh kriti un kshanon ki awaaz bankar ubharti hai, jab manushya bhay aur sahas ke beech khada hota hai, jab sandeh aur satya ka dvandv uske bheetar janm leta hai, aur jab vah swayam se hi sangharsh karne ka sahas jodata hai.

Is pustak ki pratyek kavita jeevan ke vibhinn pakshon ko sparsh karti hai-kahin pratikaar ki agni hai, kahin sahas ka aahvaan, kahin aatmamanthan ki gehraai, to kahin charitra ki dridhta ka chitran. "Prakhar" lekhak ke liye us aantarik jyoti ka prateek hai, jo paristhitiyon ke andhkaar mein bhi bujhti nahi, balki aur adhik prakhar hokar manushya ko aage badhne ki prerna deti hai.

Lekhak jeevan ko ek Kurukshetra ke roop mein dekhta hai, jahan vaastavik shatru bahar nahi, balki bheetar hote hain-bhay, moh aur apni hi durbaltaon ke roop mein. Uske anusar, jo vyakti is aantarik sangharsh mein vijayi ho jaata hai, wahi jeevan ke ranangan mein bhi ajey banta hai.

Yeh kavyasangrah keval padhne ke liye nahi, balki anubhav karne ke liye hai-taaki pathak apne bheetar ke sahas, aatmabal aur chetna ko pehchaan sake. Yadi in kavitaon mein pathak ko apne hi jeevan ka sangharsh aur aakanksha ka pratibimb dikhe, to wahi iski vaastavik safalta hogi.

Kyonki lekhak ke anusar-

sabse bada yuddh bahar nahi,

antarman mein lada jaata hai. 

Parametre knihy

19.76 €

Obľúbené z iného súdka



Collection points Bratislava a 13537 dalších

Copyright ©2008-26 najlacnejsie-knihy.sk All rights reservedPrivacyCookies


Account: Log in
Všetky knihy sveta na jednom mieste. Navyše za skvelé ceny.

Shopping cart ( Empty )

For free shipping
shop for 59,99 € and more

You are here: